Tujhse dur main ek hi wajah ke liye hoon
Kamzor ho jaata hoon main
Tujhse dur main ek hi wajah ke liye hoon
Aawara ban jaata hoon main
Tujhse dur main ek hi wajah ke liye hoon
Kamzor ho jaata hoon main
Tujhse dur main ek hi wajah ke liye hoon
Aawara ban jaata hoon main
Tujhe chu lu toh kuch mujhe ho jaayega
Jo main chahta na ho mujhko
Tujhe mil ke yeh dil mera beh jaayega
Issi baat ka darr hai mujhko
Ke ho na jaaye pyaar tumse mujhe
Kar dega barbaad ishq mujhe
Ho na jaaye pyaar tumse mujhe
Behad-beshumaar tumse mujhe
Aa-aa, aa-aa, aa-aa-aa
Ho-o-o-o, ho-o-o-o (Tumse mujhe)
Aa-aa, aa-aa, aa-aa-aa
Ho-o-o-o, ho-o-o-o
Teri nazdikiyon mein kaisa khumaar hai
Teri qurbat se mera dil kyun beqaraar hai?
Kyun yeh mitt ti nahi hai, kaisi yeh pyaas hai?
Jitna main dur jaaun, utni hi tu paas hai
Tujhe keh du ya rehne du raaz mere
Sab kuch keh du kya tujhko?
Tu mujhko chhod jaayegi ya aayegi paas mere
Issi baat ka darr hai mujhko
Ke ho na jaaye pyaar tumse mujhe
Kar dega barbaad ishq mujhe
Ho na jaaye pyaar tumse mujhe
Behad-beshumaar tumse mujhe
Aa-aa, aa-aa, aa-aa-aa (Ishq mujhe)
Ho-o-o-o, ho-o-o-o (Ishq mujhe)
Inn ghamo ko khatam kar rahe ho tum (Haan, haan)
Inn ghamo ko khatam kar rahe ho tum
Zakhmon ka marham ban rahe ho tum
Mehsoos mujhe aisa kyun ho raha
Ke meri duniya ban rahe ho tum, ban rahe ho tum
Tere bin kya yeh dil ab dhadak paayega
Puchhta hoon main yeh khud ko
Tere aane se dard chala jaayega
Issi baat ka dare hai mujhko
Ke ho na jaaye pyaar
Ke ho na jaaye pyaar
Ke ho na jaaye pyaar tumse mujhe
Kar dega barbaad ishq mujhe
Ho na jaaye pyaar tumse mujhe (Ho)
Behad-beshumaar (Beshumaar) tumse mujhe
Ishq mujhe
Ishq mujhe
Barbaad mujhe (Barbaad)
Ishq mujhe