Mm-mm-mm
Mm-mm-mm-mm-mm
Inn haathon mein jabse hai aaya yeh haath tumhaara
Jaise dariya ki halchal ko mil jaaye koi kinaara
Tumhare sang aawaargi bhi
Aawaargi bhi deti hai jaise sukoon
Tumhare sang har ek lamha
Har ek lamha, yaadein nayi main bunu
Tum ho toh subah nayi hai, tum ho toh shaamein haseen hain
Ek duniya sapnon si hai, tum ho toh iss pe yakeen hai
Tum ho toh sab achha hai, tum ho toh waqt thama hai
Tum ho toh ye lamha hai, tum ho toh iss mein sadaa hai
Tum ho toh
Iss lamhe mein sadaa hai
Tum mile inn dardon mein raahat ban ke
Tum mile ik sufi ki chahat ban ke
Main kya kahoon, koi lavz hi qaabil nahi hain
Par mujhko itna hai pata
Tumhari inn aankhon se saare
Aankhon se saare le lu andhere tere
Meri jaan, abhi baatenge mil ke
Baatenge mil ke saare savere mere
Tum ho toh dhoop hai maddham, tum ho toh chhaav hai har dam
Tum ho toh haq mein hai mere aate-jaate yeh mausam
Tum ho toh sab achha hai, tum ho toh waqt thama hai
Tum ho toh yeh lamha hai, tum ho toh iss mein sadaa hai
Hum, na jaane aise hum kab hanse the
Hum aise hi besabab jee rahe the
Meri yeh duaaein sun li kisi ne
Lagta hai sach mein Khuda hai
Aise toh koi bhi milta kahaan hai
Jaise mujhko tu mila
Tumhare sang jo bhi mila hai
Ab ek pal bhi khona nahi hai mujhe
Tumhare sang raaton mein jag ke
Dekhu tumhe, bas sona nahi hai mujhe
Tum ho toh sab achha hai, tum ho toh waqt thama hai
Tum ho toh yeh lamha hai, haan, iss mein hi toh sadaa hai
Tum ho toh
Jo tum ho toh, jo tum ho toh
Tum ho toh, tum hi tum hoh
Mm-mm-mm-mm-mm-mm
Mm-mm-mm-mm-mm-mm
Mm-mm-mm-mm-mm-mm-mm
Mm-mm-mm-mm-mm-mm